DOSTI................ JINKE BINA HAI DUNIYA AADHURI.
Dosti iss naam main hi toh duniya hai, aab socho na agar ye dost na hote, agar ye kabhi mile hi na hote toh kesa hota. relatives ne waat laga di hai, ghar wale pareshan krke chod dete hai, career raat bhar jagata hai toh socho dost na hote toh ye sab kese jhel lete hum? yahi toh duniya hai yr, dost dost nhi asal main bhagwan hote hai bass apne tarah chahiye.
Aab mere dosto ko hi dekh lo, aab yese namune hai ki kitna bhi tension lelo inko dekh kr hi sab bhul jat hu, ye distrub hi itna krte hai kya kru....
Ye ek hi yesi namuni hai hamare pass, jo kabhi hasati hai, kabhi pareshan krti hai aur kabhi khud kam aur dusro ko jayda tension leti hai.kahe toh hamare group ki don, ladai krna jese iska hakk hai, sab se ladti hai but support bahut krti hai. group ki dadi amma hai ye. dosti kre tih sath itna nibhayegi ki koi limit nhi aur agar dushmani ki toh jaan bhi le lengi. wese ye hai hi college ki didi.
jiske bina hai sari duniya aadhuri, kabhi ye college na aaye na toh yesa lagta hai ki yaar hamari dadi nahi aayi, dosti kre toh yedi namuni se jo na kabhi rulayegi aur na rone degi.
Aab dusri hai support ki duniya, specially called "DEV MANUS" sabki madat krti hai khud kam dusro ko jayda help krti hai, wese toh ye bhi don hai but utna hi bhagwan hai. har subbmission ke wakt help krti hai aur modi sahayd isse shikha hai SAB KA SATH SAB KA VIKAS. aur yese dost milte kaha hai, ke last moment sab sab concept clear sikha de. ye dost nhi bhagwan hai group ki shaaan aur body gaurd hai group ki. maa hai sabki ye ladki.
Aab yese namune ke bareme baata de ki ye khudse kabhi mila nhi, ye khud ki duniya main khush hai, iske sirf body badi hai par ye hai ek bachcha. sab ke sath rehta hai , nautanki krta hai, hum exam ke bareme sochte hai aur who gym ke bareme. na jane kesa hai ye, kabhi bhi kahi bhi bula lo madat ke liye hazir.na kabhi bolega nhi aur dushmani bhi kar lo sath kabhi chodega nahi. aur kasam li hai isne khuda se ki kabhi aapni zindagi main kya chal raha hai dhyan dunga nhi. mere group ka shan aur best insan aur mera ye special yr. namune ke bhagwan.
Aab ye parinda hai jo kabhi khushi kabhi ghum wala hai, hamare group ka joker , sab iski majja khub lete hai, ye baat baat par tension leta hai. ye yesa namuna hai jo apni cheeze bhul jata hai aur jabtak bataye nahi pata hi chalta isse, kuch bhi gayab kr lo yaad isse rehega nhi. but dosti ka heart hai. iske bina sab suna suna sa hai.hum sabki majjak centre hai jo abbe ki bina kuch kam hi hai.
Ek kam iss bande ka specail hai, khana aaur sona iske zindagi ka maksad yehi hai, khane do aur sone do,call kro toh soya hu aur kabhi pucho toh khaa raha hu.bass yehi hai zinadgi ka maksad . raat ko kabhi bhi bhuk lag jati hai neened kahi bhi sone ka king hai ye.par sachcha hai. jane do iska aur kya tarif kru. ye khud hi samaj le...
aur kya kahu mere dosto ke bareme ye khud ek duniya hai, yesi duniya jiske bina rahe meri duniya aadhuri, mera khuda aadhura. dua hai yehi kabhi chute na sath hamara....
-aniket thaokar
Comments
Post a Comment