aadhuri dasta.
k much mohobatt ki dasta hi alag hoti hai, mohobatt beshuman hoti hai par bayan na kr pate hai.dar hota hai ki agar inkaar kiya toh ye dosti bhi na rahe. izhaar krne ka toh dil krta hai par darr bhi agar inhone dosti ka naata bhi to diya toh.chalo agar hum unhe khush na dekhe toh mohobatt kesi.
humne bhi yesi mohobatt hui thi. uss pal ka wakt tha, jab hum naye the college main,pehla din tha aur pehla sa ye yehsas.hum yuhi yese dosto ke sath the jab unhe pehli baar dekha tha, who jhuki nazar aur who lehrat baal.ek pal main mere dil ko unka gulaam bana diya.main har wk bass unhe hi dekhta tha. bechaini si hoti agar nazar na aati who muze.shayad uss wkt pata na chala par mohobatt ka suroor hame bhi hua tha.
hamne unse pehli baar baat ki, who yehsas kuch alag hi tha, who sath rehne lagi lagta jese koi jannat. har pal unke sath gujar krta tha, main janta tha ki ye mohobatt thi par who thi anjani, chalo sath toh thi, mohobatt toh nhi par gehari dosti toh thi.mohobaat toh nhi par who sath toh thi.izhaar krne ka hamesha mann tha pr daarr tha ki who sath na chhod de kahi ye dosti bhi tod de.isliye bass nazro se izhaar krta tha aur sath nibhataa tha. usko hamesha khush rakhta tha, bhale ye yehsas mohobatt se kam thodi tha.
pal bith gay yese hi aur hum apne apne raho par chal pade.baate hoti thi par main alag sahar main aa gaya phir na koi baat na milna. bass unke yaade the sang.phir achanak se muze who phir dikhi shayad muze laga ki who sapna tha par who sach tha. socha iss baar izhaar kar dunga , par sahayd meri mohobaat bhi aadhuri rehne wali thi.unki shadhi ho gayi thi aur unhone kaha mohobatt hamne bhi ki thi par jazbaat na samaj paye...
shayad meri mohobatt aadhuri hi rehne wali thi.....jazbaat jo hum na samaj sake...
-alfaazz....
Comments
Post a Comment