Aaj kal is duniya se na koi yesa dushman ladd raha hai jo dikhai nhi de raha par sari duniya ke aakhe khol diye. zindagi ki nai shikh de rahi hai ki sab temporary hai. sabko ghar main band kar diya. na jane kesa dushman hai who bina goli se bina bomb se lakho ko le ja raha hai.
Iss bimari se ek naya gift de diya lockdown, sab ko ghar main band kr ke rakh diya. sab khud ko time de rahe hai, sab apne app ki tarah jeene lag gaye. apne aap ko apne bhai, behan ya ghar walo sath din guzar rahe hai, chalo ek baat toh achchi de di iss dushman ne ki jeene ke liye wealth jaruri nhi health jruri hai.. chalo ye toh middle class aur amir logo ki baat hai, kuch logo ki kahani alag hai.
Unki kahani ek ansuni hai,roj kuch paisa kamke khane wale , roj kuch kam kar ke haat main kuch paise milke ghar main roshni late hai, un logo ke liye ye dushaman kuch shaitan jesa hai. apne pass sab khatam hone bad, jo mile jese mile milo ke fasle paidal chalne lage.bina kisi umeed se ki sarkar maddat kr dega, apne ghar koi bhi shurkshit hai, par inkya kya.jo apne beto ko chaval ka pani de rahe hai bass dudh keh kar, inkya kya jo 1000 kilo meter chal ke apne ghar ja rahe hai. highway par road par rail par bass chal pade hai.inkya haal koi nhi puchata , hum khush hai ki hum roj roj nayi cheez kha rahe hai bana rahe hai ya kuch naya kar rahe hai.par ye log inko roj ki sabhji bhi naseeb nhi.aur inhe pehli baar apne gareeb hone par dard hoga ye kahani toh buri hai par janab ye sachchi jarur hai.
Par in logo ne jeene ki nayi umeed ki , ek matlab shikhaya "CHAH HAI TOH RAAH HAI" ki har condition me jeenda rehna kese hai,har takleef main muskan kese lana hai. inse ye shikho ki raah par chal pado manzil toh apne aap pass ayegi.
logo ke liye gareeb hoge, mere liye jeena shikahne wale guru hai, mere liye jeene ki umeed dene wale... koi sath ho na ho, bhagwaan aur unki umeed jarur unke sath hai...
-Aniket Thaokar
Comments
Post a Comment