Kabhi bhi apne dil ki baat na chupana,Agar unse mohobatt krte ho khul ke keh do agar yuhi chupate rahe, wakt barbad karte rahe shayad phir kabhi mauka na mile aur yuhi apni mohobatt aadhuri reh jayegi.ya phir woh yuhi tumare dur chali jaye aur app bass intezar krte rahoge.aur bass dil main uski aane ki umeed reh jayegi.
Meri unse mulkat yehi kuch 4 -5 saal pehle hui,yuh toh woh ajnabi thi par kya wahi ajnabi mera dil le baithi. bewajah si milli thi woh muze par jeene ki wajah si ban gayi.uss pal main bass unse dekhta raha yuh keh do hum unme khoya sa reh gaya.har subha main bass unse milne ki khawish krta tha, bass unka intezar krta tha aur agar dikh jaye toh bass unhe dekhta rehta tha.yuhi din bitate gaye. aur ek din meri unse mulakat ho gayi.har roj naye naye bahane dhunde rahe unse milne ke liye, unse najdeek aane ke liye.unke pass reh kar unhe hasate the bass unki muskan dekhne ke liye.yehi chalta rehta tha.
Main janta tha ki main unse mohobatt krta hu,par shayad woh anjan thi. main kehna toh chahata tha par kya kare darr tha ki unhe bura na lage, ruth jaye toh shayad koi wasta hi na woh rakhe.isliye hamesha unse apni dil ki baat nahi kaha.yese hi din chalte rahe hum milte rahe aur yese hum aur pass aate rahe.
Par unse izhar na krna shayad badi galti thi,kya pata tha hame ki woh hamse door jane wali thi.ki ek din yesa aayega ki woh shayad hamari mulakat hogi.ki dil bhar ke unse alvida na keh payege.aur uss din se yese hi unke aane ka intezar krta hu.mohobaat toh aadhuri thi,par pehli baar dosti bhi aadhuri si reh gayi.
Isliye kabhi dil ki baat na chupana,kehana hai toh khul ke keh dena.shayad woh bhi tumsse mohobatt krti ho.aur ha kabhi kisi ko alvida na kehna,unke aane ki umeed khatam ho jati hai.
Comments
Post a Comment